Python Kya Hai?

Python aaj ke time ki most widely use hone wali programming language hai. Jitne hi easy isme use hone wale syntax hain utna hi easy ise sikhna bhi hai.
Python ko create karne ka credit “Guido van Rossum” ko jata hai, jinke bahut efforts ke baad ise 1991 me launch kiya gaya. 

Python ka use hota hai:

  • Software Development
  • Web Development
  • Mathematical Analysis
  • System Scripting
  • Dev-Ops
  • Blockchain
  • Machine Learning
  • AI & much more.

Python Programming se kya-kya kiya ja sakta hai ?

  • Python bade se bade data to easily handle karne ki capacity rakhta hai.
  • Python kisi bhi complex operation ko easily tackle kar sakta hai.
  • Python server side me kam karte huye Web Applications create kar sakta hai.
  • Python Machine Learning, Deep Learning, Big Data me use hone wale sabhi process ko real time manage karne ki kabiliyat rakhta hai.
  • Python ka use Software Applications, GUI Application, Apps banane me bhi hota hai.

Python hi Kyu?

  • Module aur Library ka concept Python me lines of coding ko bhut hi short kar deta hai.
  • Python me coding karna jaise kisi english ke sentence ko likhne jaisa hota hai.
  • Python kai tarah ke platform jaise Windows, Mac, Linux, Raspberry Pi, etc me asani se kam kar sakta hai.
  • Python dusre languages ki tarah interpreter aur compiler ke process ko follow nhi karta. Python ke case me sirf interpreter ka use hota hai jo likhe gaye code ko turat hi execute karta hai.

Python ke Versions

  • Python 2.x
  • Python 3.x

Version ke naam se hi samajh aa raha hai ki Python 2.x old  aur Python 3.x new Version hai. Lekin iska ye matlab nhi ki jo Python 3.x sikh gaya wo Python 2.x me bhi kam karna sikh gaya and vice versa.

Kyuki Python 2.x purana hai issliye kuch had tak isme use hone wale modules, Library, Syntax kafi alag hain aur iss wajah se isse separately sikhna hota hai.

Aur Dekha jaye to hame sirf Python 3.x version par focus karna chahiye kyuki Python 2.x version kuch time ke baad update hona band ho jayega. 

Python : Focus karne wale Topics

Python ke har ek topic ka apna ek importance hai, issliye isme use hone wale sare terms ko samajhna bahut jaruri hai. Iss Python Ttutorial ki series me hum Python ke important topics jaise – Python installation, Python syntax, Python List, Python Dictionary, Python Modules, Python Library etc ke bare me padenge aur janege.